Zainab ye fugha karti thi tum aankhe to kholo
naadaa'n mere bacho
Is dukh zadi amma ke khule baal to dekho
Ae auno mohammed mai tumhe laau kaha'n se, paaungi kaha'n se
aata nahi sadqe gayi dunya se gaya jo
Mai dard ki maari hu musibat me phasi hu, jangal me luti hu
be aas ke sadqe gayi tum aas na todo
Maa sadqe gayi tha abhi tum dono ka kya sin, marne ke na the din
hae hae mere gul pairahano tashnadahaano
Uth baitho bas ab syede mazloom ke pyaaro, aye raaj dulaaro
khud dard ki maari hai na amma ko rulaao
Pyaaro'n ko mere kis ki nazar khaa gayi hae hae, mout aa gayi hae hae
band aankhei'n hai sadqe gayi is neend ko taalo
Ghurbat me meri jaan kafan laau kaha'n se, kya ho sake maa se
be ghuslo kafan gulshane jannat ko sidhaaro
Gul pairahano gulbadano gesuo'n waalo, amma ko sambhaalo
is daai ko paiwande zamee'n karke sidhaaro
Lo jaao khuda haafizo naasir mere pyaaro, dunya se sidhaaro
jangal me kamaai meri mitthi me milaao