zainab ye dua karti thi har ek dua may
ya rab ho mere laal fida karbobala may
bach jaye mera bhai mere laal guzar jaye
ujde na chaman fatema ka dashte bala may
zainab ye dua karti...
bad bad ke kaleje pe sina khaye to khush hoo
naam inke raqam karde shaheedane wafa may
zainab ye dua karti...
seeno pe sina khaake giray khaak pe jis dam
khush ho ke karoo sajdaye shukrana ada mai
zainab ye dua karti...
maqbool hui zainabe muztar ki duayein
zainab ke pisar maare gaye karbobala may
zainab ye dua karti...
tehro sare zainab se rida cheen'ne walon
tatheer ki lipti hui aayat hai kisa hai
zainab ye dua karti...
ta shaam khule sar gayi ahmed ki nawasi
sar apna jhukaye hue khaaliq ki raza may
zainab ye dua karti...