Kanz e Aza

Ya Raza Maula

A noha for Imam Raza (a.s), written by Zaaer Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

ay wali e arz o samaa ya imam e raza

ya raza ya raza maula ya ghareebal ghuraba


hai ab bhi baarwan maula ghurbat pe teri ro raha

ya raza ya raza maula ya ghareebal ghuraba


tere jigar ke tukde kat kat ke jab giray

turbat ko chod kar chali mashad ke simt fatema

ya raza ya raza maula...


teri judaai bhi yun behno pe chaa gayi

akbar ne gham ne sughra ko jaise zaeef kar diya

ya raza ya raza maula...


hasrat jo leke aayi thi tujhse milne ki

armaan us behan ko bhi maula nahi tu mil saka

ya raza ya raza maula...


guzri hai zindagani tanhaai may teri

aur qabr ka watan se hai sab se zyada faasla

ya raza ya raza maula...


mashad may teri turbat yasrab se door hai

taboot toos may tera sabse akela hai pada

ya raza ya raza maula...


basta rahe tumhara khurasan har ghadi

faryaad sun ghareebon ki humko hai tera aasra

ya raza ya raza maula...


nauha kuna hai zaaer saara hi ye jahan

maula raza ka matam jo arz o samaa may hai bapa

ya raza ya raza maula...