ya maula ya ghazi abbas alamdar
saqqa e sakina ay jaan e hazeena
abbas alamdar
ya maula ya ghazi abbas alamdar
darya ke kanare so gaya
dhoonda to kahan wo kho gaya
ek shor hai aale zehra mein
ashoor ko ye kya hogaya
shabbir ke ghamkhwar
dukhiyon ke madad gaar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
rota hai falak hilti hai zameen
amma ko lehad mein chain nahi
ye asr qayamat waala hai
hai seena e sheh pe shimr e layeen
lutne ko hai sarkar aajao bas ek baar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
aati hai sakina ki ye sada
surat hamein dikhla jao chacha
aafat pe hai aafat aayi hui
durr le gaye zaalim aur rida
pani nahi darkaar
kunbe se khabar daar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
naizon pa hai naize aaye huwe
sayyed pe sitamgar chaaye huwe
ye lashkare aada ke haiwan
bhai pe mazaalim dhaaye huwe
har soo hai sitamgaar
manzil hai ye dushwaar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
sab sote hai ran mein ho ke juda
ab koi nahi abid ke siwa
majboor samajh kar pyase ko
dete hai aziyat ahle jafa
hai narghaye aghiyaar
mushkil mein hai bemaar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
kis tarha sambhale dil maadar
phir tukde hua jaata hai jigar
hai shor sipaahe baatil mein
dhoondo hai kahan qabre asghar
phir niaze hai tayyaar
ache nahi aasaar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
chinti hai sar e zainab se rida
deti hai behan kab se ye sada
parda hai ghareebon ka tum se
aajao bachane behre khuda
ay saani e karraar
hyder ke dilafgaar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...
dayam wo fughan e aale nabi
yazdan ho bayan kaise wo ghadi
qaidi ban kar suye zindan
ye kehti hui ghamkhwar chali
kunbe ke tarafdaar
sarwar se khabardaar
abbas alamdar
ya maula ya ghazi...