ya imame zamana
sada e fatema zahra baqi se aati hai
hussain e asr tujhe karbala bulaati hai
lehad mein maadar e muztar ke dil ko chain aaye
mai raah takti hoon kab mera noore ain aaye
yun intezar mein har subho beet jaati hai
sadae fatema zahra...
jala tha jis se mere paak ghar ka darwaza
nahi hai baba ki ummat tumhe ye andaza
ye aag gumbad e khizra ko bhi jalaati hai
sadae fatema zahra...
padar ki yaad sataati hai jab hazeena ko
tasalli de ke meri laadli sakina ko
tumhare naam ki lori lehad sunati hai
sadae fatema zahra...
mera jari mera abbas sher e dil beta
jo karbala mein tha paband lad nahi paaya
abhi to us ke bhi hisse ke jang baaqi hai
sadae fatema zahra...
tere zahoor mein tajeel ki dua lab par
shikasta pehlu ko thaame huwe teri maadar
azaa ke farsh pe pehle se baith jaati hai
sadae fatema zahra...
jawan ke naam ki barchi hai mere seene mein
behan hai jis ki abhi muntazir madine mein
nishane qabr banaati kabhi mitaati hai
sadae fatema zahra...
mera hussain mera bawafa mera mohsin
sagheer qasim o akbar sakina aur hassan
mujhe ali ki bhi tanhaai yaad aati hai
sadae fatema zahra...