Kanz e Aza

Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai

A noha for Ali Akbar (a.s) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai

Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai


tadap ke laasha e akbar pa boley sibte nabi

hamare noor e nazar ko lagi nazar kiski

sitam ghareeb musafir pa ye mazeed kiya

batao kisne mere sher ko shaheed kiya


sina kaleje pe akbar ke maarne waale..(2)

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai

sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


1. Bade hi naaz se paala hai ye jawaan pisar

ye mere ghar ka ujala, ye mera noor e nazar

ye mera hasliyo'n wala reyazato'n ka samar..(2)

lahu mein dooba hua aidiya'n ragadta hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


2. Ye meri god mein qur'a ki tarha rehta tha

ye noor banke meri aankh mein chamakta tha

ye saaya banke mere saath saath chalta tha..(2)

meri sada pe na koi jawaab deta hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


3. Ali ki betiya'n jhula ise jhulati thi

hijab e noor mein lori ise sunati thi

janab e umme banee iske naaz uthati thi..(2) aur ab hussain yaha'n iski laash uthata hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


4. Jo bachpane mein pakadke ye mera haath chala to haath uthake ise di thi zindagi ki dua

khabar na thi ke mujhe ye bhi dekhna hoga..(2) ke aaj haatho'n pe akbar tera janaza hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


5. Batao tum mein koi ho jo sahib e aulad

jawaan laal ho jismein hai wohi ghar aabad

sitamgaro ne kiya haaye mera ghar barbaad..(2)

hawaye zulm se ghar ka charagh bujhta hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


6. Hamare seene se nikla hai dil lahu rota aur apne khaime se nikli hai zainabe kubra

najaf se nikle ali aur madine se nana..(2)

jab iske seene se barchi ka phal nikaala hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


7. Salam e akhri mujhko kiya tha jab isne

na pooch humse ke aaye yaha'n pa hum kaise

kabhi uthe kabhi maqtal ki khaak par hai gire..(2)

zaeef baap se ye ghum kaha'n se uthta hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)


8. Hua hai nauha jo meesum teri zaba'n se adaa

ye joshe girya o matam bata raha hai raza ke nauha sunne yaha'n aagaye mere maula..(2)

har ek zabaan pe akbar tera hi nauha hai


sina kaleje pe akbar ke maarne waale

pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)