sar zainabe hazeen ka bazaar may khula hai
is gham se sar jari ka naize se gir raha hai
jin baazuon ka bosa aksar liya ali ne
baandhi rasan unhi may baade jari shaqi ne
zehra ki betiyon par ghubrat ki inteha hai
sar zainabe hazeen ka...
naizon se jab utaara chadar ko zaalimon ne
baalon se moo chupaya zahra ki betiyon ne
jo baani e rida thi wo aaj be-rida hai
sar zainabe hazeen ka...
athara bhaiyon ke halqe may thi jo har pal
aur saaye may alam ke rehti thi jo musalsal
chalti hai nange pa wo purqaar raasta hai
sar zainabe hazeen ka...
ek waqt tha ke shaahi kufe may kar rahi thi
ek waqt aaj ye hai aayi hai banke qaidi
pehchan le na koi ye binte murtuza hai
sar zainabe hazeen ka...
sajjad mehve gham hai laachar hai hazeen hai
sar par jo bibiyon ke dastaar tak nahi hai
is karb may wo aankhon se khoon baha raha hai
sar zainabe hazeen ka...
rukhsaar pe behan ke jis dam lage tamache
rukh kar ke suye darya abid pukar ut'thay
aao madad ko ammu hum par sitam siwa hai
sar zainabe hazeen ka...
chadar nahi hai sar pe is gham may mar na jaaye
chote hai uske gaysu kaise wo rukh chupaye
reti se apna chehra usne chupa liya hai
sar zainabe hazeen ka...
asif tere qalam se ab bhi hai ashk jaari
zeeshan bhi musalsal karta hai aah o zaari
is gham may muntazar bhi parde may ro raha hai
sar zainabe hazeen ka...