Kanz e Aza

Shaam haye shaam

A noha for Darbaar e Shaam (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Shaam haye shaam


Ya hussain..(4)

Shaam ka bazaar kuja, abid e beemar kuja..(2)

zainab e dilgeer kuja, majma e aghyaar kuja


haye shaam, haye shaam, haye shaam..(2)


Teri ummat ke zewar pehenkar..(2)

mere nana chali hu mai shaam


shham haye shaam..(3)


1. Mai deti kafan tujhko bhayya

gar sar pe rida mere hoti

gar hote khule haath mere

tere zakhmo ko hatho se dhoti

pa bande rasan sar barehna..(2)

dekho bhayya chali hu mai shaam


shham haye shaam


2. Jis zainab ko tumne baradar

kabhi nazre utha kar na dekha

haath rassi se mere bandhe hai aur sar par nahi mere parda

kaise kufe mein jaungi ghaazi..(2)

jab balwe mein aayega naam


shham haye shaam


3. Jaise darbaar paas aa raha hai

mera dil doobta jaa raha hai

mai to ghar mein bhi kam bolti thi

bhai tumko to sab kuch pata hai

kis tarha se karegi bata de..(2)

ek sharabi se zainab kalaam..


shham haye shaam


4. Dil ye kehta hai ro ro ke bhayya

kaash abbas maujood hota

kaat deta wo uski zaba'n ko

koi baaghi agar mujhko kehta

dekhti phir mai kis tarha leta..(2)

koi zainab ka majme mein naam


shham haye shaam


5. Keh rahe hai ye has has ke shaami

aane wale hai darbaar baaghi

jisne ajdaad maare hamare

aa rahi hai yaha uski beti

kholta paani pheko chhato se..(2)

patharo ka karo intezaam


shham haye shaam

haye shaam, haye shaam, haye shaam..(2)