Kanz e Aza

ooncha rahe apna alam

A noha recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

..ooncha rahe apna alam

jab tak hai doure aasmaa'n sunle ye har peero jawa'n

awaaz par shabbir ki badhta rahe ye kaarwa'n

har qalb par chalte chalo duniya ko batlaate chalo


ek ek mohaze zulm ki tasveer dikhlate chalo

har dil me bhardo sheh ka gham

jab bhi koi mushkil padi duniya isi dar par jhuki

seenou se balkha kar idhar uthi sada e ya ali


nikla udhar batil ka dam

ye parchame abbas hai toote dilou ki aas hai

ab tak isi parcham tale zinda kisi ki pyas hai

jis ne sahe lakho sitam


abbas hai naame wafa aghaaze ajaame wafa

muh mod kar darya se jo peeta raha jaame wafa

hote rahe baazu qalam

zinda hai halmin ki sada mit'ta nahi khoo'n ka likha


shabbir ke haq ki qasam ek mojiza hai karbala

ye silsila hoga na kam

jab karbala yaad ayegi insaniyat sharmaayegi

mazloom ki awaaz hai dil me utarti jayegi


palthenge phir behke qadam

aye noujawanane aza tum ho kisi dil ki dua

taa hashr uth'ti hi rahe seenou se matam ki sada

qayam rahe akbar ka gham