aao hum karein ye sheh ka matam
ay hussainiyo
majlise aza jahan hui hai
wo makan irum se kam nahi hai
dekh kar ye bole chand taare
har haseen jagah se ye haseen hai
sache dil se jo aayega yahan
dil ki aarzoo payega yahan
sheh ke gham mein karlo aankhein purnam
ay hussainiyo
aao hum karein...
tashnalab sakina ki sabeelein
kis haseen tarhe se ye saji hai
aaj bhi mashk o alam ki nizbat
chacha aur bhatiji se judi hai
shehed se shireen iska zaaeqa
har maraz ki hai bas yehi dawa
ye aza hai zakhme dil ka marham
ay hussainiyo
aao hum karein...
matami juloos shahe deen ka
parcham e abbas hai nigehban
ismat e alam ke waaste tum
kardo apne jaan o dil ko qurban
parchame ghazi jo uthayega
zehra ki dua wo shaks payega
uncha hi rahega apna parcham
ay hussainiyo
aao hum karein...
har amal se ooncha ho gaya ye
sheh ke gham mein jo ashk bahe hai
ashk e gham hai motiyon ke maanid
kaakni rumaal mein sajay hai
zakire hussain gham shuda bhi hai
gham mein mubtila ambiya bhi hai
ji usool deen ka hai ye gham
ay hussainiyo
aao hum karein...
farshe gham jahan jahan bicha hai
arsh ke farishte bhi wahin hai
karte hai nabi bhi aah o zaari
jaani iski zainabe hazeen hai
matami yahan murtuza bhi hai
nauhago yahan fatema bhi hai
hai badi pur noor majlise gham
ay hussainiyo
aao hum karein...
nauha marsiya ki ye sadayein
goonjti hai jab kabhi faza mein
paata hai sukoon muztarib dil
zikre shahe deen ki diya mein
hai aza e shah haq ka raasta
aake tum yahan maanglo dua
sheh ka naam lete raho har dam
ay hussainiyo
aao hum karein...
majlis o matam mein raat bhar jo
jaagti rehti hai jinki aankhein
arshe aaftab se munawer
hashr mein hoti hai unki aankhein
ahmed o mohsin ki ye sada hai
dono ki is gham se hi baqa hai
karte hai nauha ye dono baaham
ay hussainiyo
aao hum karein...