Kanz e Aza

Aao Matam Kare

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

aao matam karein aao matam karein

zeb e farshe aza hogayi sayyeda


aansu'on ki rida rukh pe daale huve

aakhri hichki ye dil sambhale huve

gham ki tehzeeb mein khud ko dhaale huve

tum ho sadiyon se ye dard paale huve

zeenat e lab rahe zikre karbobala

aao matam kare...


rok sakta nahi jabr dena tumhe

hai payambar ka haasil waseela tumhe

daad deti hai jannat se zehra tumhe

haq ne baksha hai gham ka saleekha tumhe

rooh ka faisla zehan o dil ki sada

aao matam kare...


shamiyon ke sitam bhool sakte nahi

sabre shahe umam bhool sakte nahi

daastan e alam bhool sakte nahi

aale ahmed ka gham bhool sakte nahi

daamane rooh par naqsh hai karbala

aao matam kare...


laash qasim ki tukde huwi dasht mein

qalbe akbar pa barchi lagi dasht mein

nanhe asghar ki gardan chidi dasht mein

hogaye qatl abbas bhi dasht mein

lut gaya dasht mein gulshan e fatema

aao matam kare...


choor zakhmon se hai fatema ka pisar

hai jabeen sajdae haq mein qam farsh par

kund khanjar se kat'ta hai pyase ka sar

khoon chehre pe malte hai khairul bashar

az zameen ta falak ab hai shore buka

aao matam kare...


ab padar ko sakina kahan payegi

kis ke seene pe bachi ko neend aayegi

yaad baba jab aayenge ghabrayegi

narghaye ahle shar hai kahan jayegi

dhayr lashon ke hai khoon hai bikhra huwa

aao matam kare...


gham naseebo ke qaime jalaye gaye

farsh par arsh waale bithaye gaye

ek bachi ko durre lagaye gaye

jitne mumkin thay sab zulm dhaye gaye

ek bemaar aahan mein jakda gaya

aao matam kare...


aal ka gham magar juzve emaan hai

ashq aayat hai dard quran hai

hashr ka marhala kitna aasan hai

daaghe matam hi bakshish ka saaman hai

jazb karlo usi ashq mein karbala

aao matam kare...