karbala tumko bulaati hai azadar e hussain
aao zawwar e hussain
khud lagayenge galay tumko sab ansar e hussain
aao zawwar e hussain
ek jaanib hai maqame ali akbar dekho
ek maqam aisa ke gehwara e asghar dekho
har jagah sheh ke azadaron ka manzar dekho
ambiya aur malak bhi hai azadar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
yaum e ashoor zara karbobala ko dekho
jis jagah zulm hua uski fiza ko dekho
khoon ugalti hui tum khaak e shifa ko dekho
ab to har qaum hui jaati hai bemaar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
bhai ki qabr pe jis roz ke aayi khwahar
aao zawwaro usi din safar e chehlum par
lehad e shaah talak hoga jo paidal ye safar
dengi har gaam dua maadar e ghamkhaar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
shehr e shabbir mein aajao fazeelat pao
rizq o aulaad mein aur saanso my barkat pao
zinda reh kar bhi yahan fazle shahadat pao
ho ye koshish ke hamein dekhle sarkar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
ek jali aayat e allah hai ye karbobala
ambiya ki bhi guzar raah hai ye karbobala
azme shabbir se aagaah hai ye karbobala
mil ke shabbir se khud seekh lo kirdar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
dil mein shabbir ho har dam chalo karbobala
lab pe ho deen ka paigham chalo karbobala
baand kar kaabe ka ehraam chalo karbobala
baith e allah bhi har waqt hai ghamkhaar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
khud ba khud haath wahan jaate matam ko uthe
roz e ashoor jahan baazu e abbas kate
shaah jab laasha e abbas pe ye kehte chale
tum kamar tod gaye meri madadgaar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...
chashm ko ashke ghame shaah tar karna hai
dil mein har naasir e shabbir ke ghar karna hai
suye shabbir kuch tarha safar karna hai
ho sada aagaye wo majid o mukhtar e hussain
aao zawwar e hussain
karbala tumko bulaati hai...