Seeno me yehi dil hai Azakhana-e Shabbir
Sar hain yehi sange dareKaashana-eShabbir
Pohchaaenge duniya mehamAfsana-eShabbir
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-eShabbir
Sar jiska utara gaya Sajde me Khuda ke
Neend aayi jise saare zamane ko jagake
Jo Sogaya aandhi me charaagh Apna jalake
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
Ham Uske fidaayi hain Jo do din ka Tha pyaasa
Paani na mila Jisko damezib'ha zara sa
Zehra ka jigar band Muhammad ka Nawasa
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
Dekha na suna yu'n kisi Sultan ka matam
Aisa na huwa naasher-e-Qur'an ka matam
Tera Sao baras se hai ajab shaan ka matam
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-eShabbir
Magbool ye koshish ho kahaan aisa muqaddar
Shaayad isi tadbeer se bakhshish ho mayassar
Tum bhi kaho aye Najm ye parwano me milkar
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-eShabbir