Kanz e Aza

HAAY KARBALA WAALO

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Najm Aafandi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Aye Khuda ke bando'n me muntakhab Khuda waalo

Takht e Innama waalo taaje hal ata waalo

Shaan e Mustafa waalo waz e Murtaza waalo

Kya wafa pe jaane dee tumne aye wafa waalo


Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo


Chhote chhote bachcho'n ne jang ki ijaazat li

Badgaye jawa'n bankar kamsini se rukhsat li

Qaom ki himaayat me Izzat e Shahadat li

Zindagi ko kya kahiye maot se bhi khidmat li


Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo


Kis bala ke jangal me Aal e Mustafa thahri

Bedayaaro ka madfan arze Karbala thahri

Aayi Shaame Aashura sub'ha ko wegha thahri

Kya khabar Madina ko Shaamiyo'n se kya thahri


Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo


Haq pa marne waalo ne jaan di saleeqe se

Shaoq se tamanna se azm se iraade se

Zindagi na ki pyaari Fatima ke Pyaare se

Maa ki godh se aaya koi koi jhoole se


Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo


Koi Tum me Akbar tha koi Tum me Asghar tha

Koi Saaniye Jaafar koi misle Hyder tha

Koi qadro qeemat me dojahan se bartar tha

Zere tegh Karbal me Fatima ka gharbhar tha


Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo


Is tarah ke aalam me phir na dil jigar dekhe

Dar pa aake Maao'n ne jang ke hu'nar dekhe

Apne Chaand ke tukde khu'n me tarbataar dekhe

Rege garm par Laashe barchhiyo'n pa sar dekhe


Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo