Hyder ke janaze pe tha Hasnain ka noha
Baba mere baba , Baba mere baba
1) Hai hai humare sar se utha baap ka saya , Kisne hume yateem kiya wa musibata , Hai Ashkbaar aaj yateemane Fatima , Baba mere baba…….
2) Kaisa gazab yeh masjide kufa me hogaya , Kaisa yeh zulm hai bine muljim ne kardiya , Farqe Ali douneem hua wa musibata , Baba mere baba…….
3) Rote hai sar ko peet ke karte hue ye bain
lekar chale gileem me moula ko noore ain, hamraah saath aati hai ab roohe mustafa
Baba mere baba…….
4) Baba ke zaqmi hone ki jis dum khabar mili , Halat Ali ke betiyo ki gham se ghair thi , Aaho buka se arshe baree'n kaampne laga , Baba mere baba…….
5) Zainab tadapke kehti hai baba ko kya hua , Kulsoom roke kehti hai hay hay hui jafa , Dekha jo farqe paak tou dil sabka phat gaya , Baba mere baba…….
6) Zaalim ne kaisi tegh se mara Ali ko haye , Jab saamne layeen ko Ashaab leke aaye , Qaatil ki mushke khooldo kehne lage moula , Baba mere baba…….
7) Noha Ali ka tune yeh purdard hai likha , Maatam kuna hai Anjumane Nasere Aza , Sehne haram se aati hai Hyder yahi sada , Baba mere baba…….