Kanz e Aza

Abbas Alam Tera

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

shabbir ka paigham sunate hi rahenge

abbas alam tera uthate hi rahenge


darya pe chidhi mashk kate baazu e abbas

seena dhuan dhuan tha sakina ki thi wo pyaas

tooti kamar hussain ki behne hui be-aas

chin jayegi ab sar se rida hogaya ehsaas

rudaad tishnagi ki sunate hi rahenge

abbas alam tera...


ladte hue darya pe gaye aun-o-mohamed

bhari thay hazaron ke liye aun-o-mohamed

takeed maa ki yaad rakhe aun-o-mohamed

pani na piye qatl huwe aun-o-mohamed

jo zulm huwe inpe batate hi rahenge

abbas alam tera...


pamaal ran mein hogaya jis dam hassan ka laal

is gham ka qalbe shaah pe kyunkar na ho malaal

kehti thi umme farwa ke ay rabbe zuljalaal

ek raat ke dulhe ki hui laash payemaal

shab ki dulhan ka haal sunate hi rahenge

abbas alam tera...


barchi lagi akbar ko tadapne lage shabbir

pahunche jawan ki laash pe jab sarware dilgeer

zainab ki thi sada ke miti nana ki tasveer

kehti thi karbala mein meri lutgayi jageer

laila pe jo guzri wo sunate hi rahenge

abbas alam tera...


haaton pe sheh ke chid gaya masoom ka gala

roye tadap ke arz o samaa aaya zalzala

zehra-o-mustafa ne lehad se ye di sada

bacha wo cheh mahine ka wo teere hurmala

guzri jo bezaban pe sunate hi rahenge

abbas alam tera...


sab qatl hue koi na tha sheh ka madadgaar

jab khushk gala kaat chuka shimre bad-atwaar

naize ki ani par tha sare sayyade abraar

paighambar o zehra o ali thay jigar afkaar

tasveer karbala ki dikhate hi rahenge

abbas alam tera...


jalti hui reti pe pada laasha e besar

qaime haram ke jal gaye aur chin gayi chadar

uth'te huwe sholo mein tha bemaar ka bistar

kurta bhi sakina ka jala chin gaye gohar

guzri jo yateemo pe sunate hi rahenge

abbas alam tera...


yun lutgaya ghurbat mein mohamed ka gharana

rota hai jise sunke abhi tak ye zamana

kyunkar na bober likhe karbal ka fasana

milta hai najaf se usay lafzon ka khazana

gham aale payambar ka manate hi rahenge

abbas alam tera...