Kanz e Aza

Abbas Alamdar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Yawar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

kehti hai wafadari virsa hai alamdari

bedast hai phir bhi hai alamdar alamdar

hai abbas alamdar abbas alamdar

saqi abbas alamdar abbas alamdar


saqqa e sakina hai mashkeeza batata hai

bhatke huwe logon ko manzil se milata hai

matam ke julooson may aage nazar aata hai

hai tera alam khaafila salaar alamdar

abbas alamdar…


abbas ye tujhse hai izhare wafadari

pani ki sabeelein ye majlis ye azadari

tere kate shano ka sadqa hai mere ghazi

naukar hai tere saare azadar alamdar

abbas alamdar…


ye kaisi qayamat hai aulade payambar par

be-gor o kafan laashe seydaniya be-chadar

har bibi ye kehti hai dekho to zara aa kar

jaate hai haram shaam ke bazaar alamdar

abbas alamdar…


abbas ka girna tha jalti hui reti par

sarwar ki kamar tooti zainab ki giri chadar

laashe pe nabi zaadi deti thi sada ro kar

maara gaya pyason ka madadgaar alamdar

abbas alamdar…


yawar ye hakeekat hai masoom batate hai

maula ki ziyarat ko jo khaafile aate hai

jab karbobala ke wo nazdeek pahunchte hai

lene ke liye aate hai har baar alamdar

abbas alamdar…