abbas abbas
jaati hai behan ab be-parda
saqqa saqqa
ek pyasi behan ka sar hai khula
jab zeen se gire bin haathon ke
bhaiya mere moo ke bal thay pade
karwat bhi badalna mushkil tha
phir bhi na kisi se lab khole
haalat teri dekhe kaun bhala
saqqa hai behan ko ye sadma
abbas abbas jaati hai...
jis tarha watan se laaye thay hum
waise hi bhala kaise jaaye
kya zulm huwe chadar bhi chini
kis tarha haram chadar paayein
utho bhaiya utho bhaiya
chadar to dilaado ay saqqa
abbas abbas jaati hai...
ay sher tu kitna pyasa tha
zainab ko teri ehsaas hua
aur tashna dahan bhi maara gaya
do ghoont tumhe pani na mila
mashkeeza chida dil toot gaya
pani nahi tera khoon baha
abbas abbas jaati hai...
jab tak tu raha zinda bhaiya
nazrein na uthaata tha koi
zehra ki mai beti hoo ghazi
haa sar pe mere chadar na rahi
aa sar pe mere saaya kar de
ay bhayi mere phir so jaana
abbas abbas jaati hai...
thi teri khata bhi koi nahi
aur sar pe tumhare gurz laga
behnein roti hai ye keh kar
bhaiya ko mere kisne maara
sambhla na gaya tumse zeen par
sar khoon mein tera doob gaya
abbas abbas jaati hai...
laaye thay watan se jis tarha
us tarha watan ab pahuncha do
bhaiya meri chadar dilwado
mehmil mein bhi mujhko bithwa do
abbas mere aa dekh zara
hai teri behen ka shaana bandha
abbas abbas jaati hai...
kis mein ye bhala jurrat aati
jo baandhta shaano mein rassi
bhaiya mere zinda hote agar
chadar na mere sar se lut'ti
mai saani e zahra hoo ghazi
kis tarha rahoongi beparda
abbas abbas jaati hai...
rehan o mubarak zainab ka
pardes mai yun ghar baar luta
bhai pardes mein maare gaye
shaana bandha parda loota gaya
maqtal mein chaudha sadi se
hai fatema zehra ka nauha
abbas abbas jaati hai...