abbas abbas-e-alamdar sidhara
shay kehte the duniya se yeh , mera bhai sidhara
abbas abbas-e-alamdar sidhara … 1. har simth se hain teer o sina barchiya bhale
abbas kaha ab jo mujhey aake sambhale
toota hain falak mujh mein nahi jeene ka yara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
2. karbal main akela huwa bin tere aye bhai
har gaam musibat huwa bin tere aye bhai
har zakh se aanch uthti hain jalta hain yeh sehra
abbas abbas-e-alamdar sidhara
3. lakho the adoo aur akela tha wo sakha
youn nehr pe khabza kiya pyassa raha sakha
abbas se kab door tha dariya ka kinara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
4. poorsooz hain karbal ki fiza karti hain matam
moo ashkoun se dhoti hain wafa karti hain matam
nazaan thi wafa jispe wo dildaar sidhara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
5. maghmoom si dhankan hai to zakhmi si fikar hai
tooti hai kahin aas kahin chak jigar hain
abbas sa ghazzi o wafa daar sidhara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
6. har saans mein ab zikr tera karti hain zainab
ab apne hi bazzo ko takka karti hain zainab
duniya mein nahi koi bhi ab uska sahara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
7. be chain bohat rehti hain ab bali sakina
pani bhi nahi mangti ab bali sakina
veeraan si ankhoun mein hain bas aks tumhara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
8. kehti hain sakina yahi ba didaye purnam
pani na pohunchne ka hain ammu ko bohot gham
kya aysa koi karta hain duniya se kinara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
9. aajayengi wo dhundti maidan mein bibi
margayegi ghut ghut ke wo zindan mein bibi
ajaye usey sabr tumhe khoke khudara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
10. hai hai huwa be dast yeh bhai mera abbas
bin hatoun ke anna wo zameen par tera abbas
ek karb ka dariya hain nahi jiska sahara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
11. bhaiya tumhare saat gaya sabke dil ka chain
tanha hain ab hujoom mein zehra ka nooreain
abaad kiya tumne to dariya ka kinara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
12. bazoo yeh katte tere zameen se to uthaloun
tehro zara abbas gale se to lagaloun
kadmoun mein hai ab nehr bhi aur uska kinara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
13. ayi hain pasand tumko yeh dariya ki tarayi
khayesh hain yahi shair ka maskan ho tarayi
laasha bhi utha sakta nahi bhai tumhara
abbas abbas-e-alamdar sidhara
14. sarwat yahi aati thi sada zehra ki ran se
zinda na phirega mera ghazi kabhi ran se
abbas e ali tha mere bachoun ka sahara
abbas abbas-e-alamdar sidhara