Kanz e Aza

Abbas Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

laash par pahunche to ye kari faryad

abbas abbas abbas


bhaiya mai aagaya hoon kuch to batao uth kar

kis ne jafa se maara jarrar sher e safdar


naale thay shaahe deen ke ye kya hua baradar

hai waqt bekasi ka aur ghere hai sitamgar

tum par ye zulm dha kar hum ko kiya hai muztar

abbas abbas abbas

bhaiya mai aagaya...


shabbir tujhpe qurban kuch kehna hai batao

sar apna ab to mere zaanu se mat hatao

hasrat nikalo dil ki ek baar bhai keh kar

abbas abbas abbas

bhaiya mai aagaya...


kaise bhatiji bhaiya seh paayegi ye sadma

dar par khadi hai dekho khaali liye wo kooza

is aas mein ke ammu laayenge pani bhar kar

abbas abbas abbas

bhaiya mai aagaya...


pooche sakina mujhse ehwaal jab tumhara

itna batado bhaiya kya keh ke doon dilaasa

qaime mein jaunga jab mashk o alam ko le kar

abbas abbas abbas

bhaiya mai aagaya...


quwwat na baazuon mein na zor hai kamar mein

hai waqt kaafi baaqi bhaiya mere safar mein

manzil bahot hai mushkil paunga usko kyun kar

abbas abbas abbas

bhaiya mai aagaya...


mere anees dekho kis darja hai pareshan

uth kar madad ko pahuncho kuch mushkilein ho aasan

aisa na ho aza se moo pher le ye muztar

abbas abbas abbas

bhaiya mai aagaya...