zainab ne kaha yeh ro ro kar
abbas na jao dariya par
barbaad na ho shabbir ka ghar
abbas na jao dariya par
1. maqtal mein udasi chayi hai
qaimon mein qayamat aayegi
ho jayegi zainab be chadar
abbas na jao dariya par
2. sab ahle haram ki aas ho tum
zehra ki dua abbas ho tum
batlao jiye kaise sarwar
abbas na jao dariya par
3. khurbaan huwe nazon ke pale
lo tum bhi humko chod chale
dil phat ta hai bhai rehreh kar
abbas na jao dariya par
4. lutne ko hai ab zehra ka jaha
dariya ki zamee hai nauha kuna
chalte hai mere dil par khanjar
abbas na jao dariya par
5.marjaye na kyun zainab gham se
himmat hai tumhare hi dum se
is tarha behan ko tadpa kar
abbas na jao dariya par
6. main ran mein tadapna bhai ka
kis tarha se dekhungi bhaiya
katege layi shabbir ka sar
abbas na jao dariya par
7. manzar hai yahi rawi ka baya
karte the haram faryad-o-fuga
kehti thi behan jab ro ro kar
abbas na jao dariya par