jab tak ke gham-e-karbobala baqi hai
har dard ki yeh dost dawa baqi hai
arif hai agar naf-se-quda ka tu samajh
shabbir hai baqi toh quda baqi hai
ya hussain ya hussain ya hussain ya mazloom
1. tu hi faq-re- ambiya hai tu nabi ke dil ka chain
tu ali ka ladla hai fatima ka noor-e-ain
arsh-e-qaliq se sada aayi ke hai mera hussain
2. jab kiya inkar sajde ka toh rab ne yeh kaha
sajda-e-adam nahi ab yeh hain noor-e-mustafa
do jahan karte hain tere azm ko sajda hussain
3. tu ne rahe haq mein akbar sa jawan beta diya aur ali asghar ko tune dasht mein dafna diya
ghar lutaya deen ki khatir aur diya fidiya hussain
4. saare alam mein kisi ne kaam na aisa kiya
darmiya laashon ke tune shukr ka sajda kiya
kaba kehta hai ke hain yeh manfareed sajda hussain
5. lasha-e-abbas par pahunche hussain ibne ali aur kaha bhai pukaro yeh tamanna hai meri
isliye abbas ne rokar kaha bhaiya hussain
6. abid-e-muztar ko zalim ne pinayi bediya
dekh te hi rehgayi manzar yeh saari bibiya
har khadam lab par yahi hai aye mere baba hussain
7. jab sakina shaam ke zindaan me roti rehgayi
zalimon ke zulm se ghut ghut ke bachi margayi
kampte haathon se tha abid ne dafnaya hussain
8. sar khule jab shaam mein pahunchi ali ki betiyan
khaaq dale sar pe thi hum raha khatoon-e-jinha
kya qayamat ka woh manzar tha mere maula hussain
9. alam-e-arwah mein tha haq se jo wada kiya
karbala mein aake tune is tarha pura kiya
sar kataya deen ki khatar aur kiya sajda hussain
10. hain raza-o-hashmi ki arzoo maula yahi
aap ke rouze mein aakar hum padhe nauha yahi
ta abad karte rahenge aap par giriya hussain
marhaba ya hussain be watan ya hussain
khastatan ya hussain fatima ka noor-e-ain
ya hussain ya hussain