thi yeh zehra ki sada mere mazloom hussain
tu ghareeb -ul- ghuraba mere mazloom hussain
1. raas aayi na tujhe meri jaa karbobala
koi baqi na raha dasht -e- ghurbat me tera
ek abid ke siva mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
2. hogaya ibne hasan ran mein pamaal jafa
tukdey tukdey tha badan surkh thi karbobala
jab huwa tujh pe fida mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
3. tegh -o- khanjar ke siva kaun hain tere khareeb
haye ghurbat yeh teri mera abbas nahi
kya karre maa yeh bata mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
4. tha jo hum shakley nabi khayi sine pe sina
sabr jo tune kiya dekhkar laash-e- jawa
kaap utha arsh -e- khud mere mazlom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
5. be zuba par yeh jafa teer gardan pa laga
haaye kya zulm huwa kaap uthi karbobala
dafn jab tune kiya mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
6. zaqm per zaqm laga khoon behta hi raha
sukhe hoton pa tere phir bhi shikva na gila
sehke har zulm-o- jafa mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
7. tujhpe royegi sada yeh zami aur falak
jab biche farsh -e- aza aate hain hoor -o- malak
hain yahi hukme khuda mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .
8. asr -e- ashoor farid ek mehshar tha bapa
jab chali tegh -o- jafa thi jabi pesh -e- khuda
karbala dasht -e - bala mere mazloom hussain
thi yeh zehra ki sada . . . . .