jab gulu e khushk par khanjar chalaya jayega
kis tarha se zainab se ye sadma uthaya jayega
sayyeda ya sayyeda ya sayyeda ya sayyeda
cheeni jayegi ridayein zainab o kulsoom ki
dar badar unko rasan basta phiraya jayega
sayyeda ya sayyeda...
qatl e akbar ki sadayein aa rahi hai dasht se
kis tarha shabbir se laasha uthaya jayega
sayyeda ya sayyeda...
saaqi e kausar ka waaris hai alamdar e hussain
ab sakina ka usay saqqa banaya jayega
sayyeda ya sayyeda...
ek bi aisa na tha jo zaalimo se poochta
aur mazloom pa kab tak zulm dhayaa jayega
sayyeda ya sayyeda...
jinke parde ke muhafiz akbar o abbas thay
aah unko bar sare darbar laaya jayega
sayyeda ya sayyeda...
ran mein qasim ke sarhane chup khade hai shaah e deen
kis tarha pamaal laashe ko uthaya jayega
sayyeda ya sayyeda...
poochte hai zulm ke masoom rukhsaaro ke neel
kab tak aakhir in yateemon ko rulaaya jayega
sayyeda ya sayyeda...
waqt kaisa aa gaya aale nabi par baad e shah
rayt par masoom bachon ko sulaaya jayega
sayyeda ya sayyeda...
dekhna hoga wahan bhi sheh ka matam ay faraaz
hashr ke din jab dilawar ko bulaya jayega
sayyeda ya sayyeda...