jab hum ne suni masjid se azan
hamshakle payambar yaad aaye
takbeer ki aayi jaise sada
har ek ko akbar yaad aaye
hasta jo koi bacha dekha
chaah maah ke asghar yaad aaye
yaad aayi hum ko karbobala
ek dukhiya maadar yaad aaye
jab hum ne suni...
khat bhej ke ye sughra ne kaha
kya bhool gaye mujhko baba
deedar ko tarsi hai dukhiya
har waqt baradar yaad aaye
jab hum ne suni...
ab asr ka suraj hai dhalta
aur shimr ka khanjar hai chalta
shabbir ka aisa hai sajda
ke sajda e hyder yaad aaye
jab hum ne suni...
kaisi hai musibat ranj o alam
kufe mein barehna sar hai haram
har samt khade hai na mehram
tatheer ki chadar yaad aaye
jab hum ne suni...
meraaj e haya thi naize par
rukta hi na tha abbas ka sar
kethi hai ye zainab ro ro kar
bazaar ke manzar yaad aaye
jab hum ne suni...
zindan se qaidi jab choote
aur wapas yasrab mein pahunche
dil ahle madina ke toote
har ek ko sarwar yaad aaye
jab hum ne suni...
kehti thi sakeena amma jaan
baysheer mera bhaiyya hai kahan
kya us se kahe dukhiyari maa
be saaqta asghar yaad aaye
jab hum ne suni...
jab ghar mein bana koi dulha
yaad aa gaya qasim ka sehra
nauha bhi pada matam bhi kiya
aur dilbar e shabbar yaad aaye
jab hum ne suni...
jis jaah par kahin pani barse
aur dekhe hum ne khet haray
asghar ka lahoo rukh par apne
malte huwe sarwar yaad aaye
jab hum ne suni...
hai kaun muneer apna hamsar
kyunkar ho hamein khauf e mehshar
ho aankh ghame shabbir mein tar
aur nazha mein hyder yaad aaye
jab hum ne suni...