Kanz e Aza

Allah Allah Karrahe hai husain

A noha for Imam Raza (a.s) (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Allah Allah Karrahe hai husain


Ajeeb shor hai

Ajeeb shor hai ... Ke shor me sukoon hai 2

Ajab sukoon hai...

Ajab sukoon hai

Sukoon me junoon hai 2

Ye wo junoon hai

Ye wo junoon hai ...

Jo deen ka sutoon hai 2

Ya kya ye kyu ye kaise hai ye sochna haraam hai

sochna haraam hai

Kisi basher ki baat ka khuda ka khud kalaam hai

khuda ka khud kalaam hai

"Fazkoruni azkoro kum washkoruni Wala taghforun"

Quran mein khud kahta hai khuda

Wo mujhko kabhi jhutlata nahi Aur mere shakir rahta hai

Jo mera zakir hota hai mai uska zakir banta hu


Allah allah kar rahe hai husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain

Allah allah kar rahe hai husain

Kar raha hai Khuda hussain ya husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain


1)Khauf ahle sitam pe hai taari

Zikre shabbir ab bhi hai jaari

Jab khuda khud hai zaakire hai sarwar

Kaun rokega ye azadari

Ishk ka Tarjuma husain husain


Kar raha hai khuda hussain husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain

Allah allah kar rahe hai husain

Kar raha hai khuda hussain husain ...


2) Kah diya aayae mawaddat ne

Hamse manga hai kya risalat ne

Ab bhi Aqlo pe hai pade parda

Raaze quran na samjha ummat ne

Rabte zahra hai ya husain husain


Kar raha hai khuda hussain husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain

Allah allah kar rahe hai husain

Kar raha hai khuda hussain husain ...


3) uski baatil namaz hojae

Shak jo zaate husain me lae

Jo namaze khuda ko thukrae Phir wo matam liye kaha jae

Hy Shaoore baka husain husain


Kar raha hai khuda hussain husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain ...


4) Kaise kaidi the karbala wale

Sheh ke maksad ko sath leke chale

Kab wo gaafil rahe hai sajdo se

Kaid mein bhi namaz padhte rahe Aur jaari raha husain husain


Kar raha hai khuda hussain husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain ...


5)Jab madine me aae ahle haram

Rozo shab tha husain ka matam

Ab bhi taarikh de rahi hai sada

Ghar me sajjad ke khuda ki kasam

Eid ke din hua husain husain


Ya husain ya husain ya husain Ya husain ...


Sada ye gaib se aati hai ibne zahra ki

Ye kaisi bahes me uljhi hui hai kaum meri

namaz ka koi munkir hai majliso ka koi

takallum aur hai darvesh ki tamanna yahi


khudara jism ko tum jaan se juda na karo

namaz aur aza ka tum mukabla na karo

Ay mere bhai raza, mai saniye zainab hoo

Tu saniye hussain, ay ghareebul ghurba


Ay mere bhai raza, tujhpe humsheer fida

AY GHAREEBUL GHURABA, AY MERE BHAI RAZA, TUJHPE HUMSHEER FIDA , AY GHAREEBUL GHURABA

Tujhse milne ke liye kitne meelo ka safar

Teri zainab ne kiya


AY GHAREEBUL GHURABA.


1)Mujhko pardes my ye baat rulati hi rahi

door hoo ghar se magar sar pe rida hai bhai

binte zehra ne magar shaam o koofa ka safar

be rida kaise kiya


AY GHAREEBUL GHURABA.


2)Tera deedar bina bhai nahi reh sakti

gham mai furqat ka teri aur nahi seh sakti

kya mujhe bhool gaye tumko behna se milay

ek baras beet gaya


AY GHAREEBUL GHURABA.


3)Tumko zindan may kahi qaid na karle koi

mere baba ki tarha zeher na dede koi

jee nahi paungi mai sun ke mar jaungi mai

tumko gar kuch bhi hua


AY GHAREEBUL GHURABA.


4)Baap ki tarha mere sar pe tera saaya hai

apni beti ki tarha tune mujhe paala hai

tu hai ay bhai jahan mujhko bulwale wahan

hoga ehsaan tera


AY GHAREEBUL GHURABA.


5)Saath hum hotay agar shaam ko jaate bhai phir sakina ke liye ashk bahate bhai

kya nahi tum ko khabar aagaya maahe safar

waarise karbobala


AY GHAREEBUL GHURABA.


6)Maut se pehle mujhe milne baradar aaja

apni sughra ke liye ay mere akbar aaja

dil may hasrat hai mere dekhloo chehra tera phir mujhe aaye khaza


AY GHAREEBUL GHURABA.


7)Ay takallum ye behen bhai pe jaan deti thi

sunke bhai ki khabar khaak pe ye aise giri

lab pe tha haye raza dil pe kaabu na raha

kha gayi usko Qazaa


AY GHAREEBUL GHURABA.