Kanz e Aza

Sibte Nabi ka Matam

A noha written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

sibte nabi ka matam manshoor e zindagi hai

matam hi zindagi hai matam hi bandagi hai


daaghe yateemi de ke mujhko kahan gaye ho

maqtal mein ek bacchi baba ko dhoondti hai

matam hi zindagi hai matam hi bandagi hai

sibte nabi ka matam...


abbas ne ye keh kar izne jehad maanga

mujhse na dekhi jaaye bacchon ki tashnagi hai

matam hi zindagi hai matam hi bandagi hai

sibte nabi ka matam...


bakshish ki zimmedari uski batool par hai

shabbir bewatan ka jo shaks matami hai

matam hi zindagi hai matam hi bandagi hai

sibte nabi ka matam...


naame hussain ko na koi mita sakega

ghar baar ko luta ke zainab ye keh rahi hai

matam hi zindagi hai matam hi bandagi hai

sibte nabi ka matam...


leke ameer asghar haathon pe shaah bole

ya rab qubool karna fidya ye aakhri hai

matam hi zindagi hai matam hi bandagi hai

sibte nabi ka matam...