Apni Aaba Zameen Par Sarwar Bicharahe Hai
Farzande Mujtaba Ke Tukdhe Utha Rahe Hai
1.Guth Guth Ke Marna Jaaye Beti Hussain Ki Ab
Aale Nabi Tapadhkar Har Dum Suna Rahe Hai
2.Misle Janab-e-Hyder Sar Hai Shigafta Aa
Kandhe Pe Daale Sarwar Maidan Se Laa Rahe Hai
3.Farwa Ka Laal Dulha Phir Kar Jo Ghar Me Aaya
Kubra Dulhan Ku Laakar Baazu Bitha Rahe Hai
4.Binte Hussain Par Hai Sakta Sa Ek Taari
Ghabra Ke Bibiyan Sab Usku Jaaga Rahe Hai
5.Matam Jahan Me Karlo Dulha Ka Tum Bhi Koukab
Khismat Tumhari Dekho Moula Bana Reha Hai