ay yateem shehzade maa ke dilruba qasim
jane murtaza qasim jane mustafa qasim
ay yateem shehzade...
haye kamsini teri kya ujad gayi qismat
sar se utgaya saaya baap ke tere qasim
ay yateem shehzade...
baap ke janaze par teer chalte dekha tha
daag tha yateemi ka sabr karte thay qasim
ay yateem shehzade...
shakl aur shabahat mein hoo ba hoo thay hyder ke
umme farwa kehti thi haye naujawan qasim
ay yateem shehzade...
maut ko pasand aayi teri jaane naushayi
karbala ke jangal mein byah racha diya qasim
ay yateem shehzade...
nausha banke aalam mein jaa raha hai marne ko
baap ki wasiyat ko jo nibha diya qasim
ay yateem shehzade...
jange khyber o khandaq phir gayi nigahon mein
jang mein anokha tha tera hausla qasim
ay yateem shehzade...
ran se jab sada aayi jald ab chacha aao
dam ruka hai seene mein kehte jaate thay qasim
ay yateem shehzade...
pahunche jab shahe wala choor tan tha zakhmo se
ghar ujad gaya saara marne se tere qasim
ay yateem shehzade...
sar pe sehre ki ladiyan aur joda shahana
kya khaba suhani thi zebe tan kiya qasim
ay yateem shehzade...
raat ko bani dulhan subho ho gayi bewa
kaisi qismate kubra sochte rahe qasim
ay yateem shehzade...
laash utha ke laaye jab qaime jab shahe wala
peet'ti hai sar apna saari bibiyan qasim
ay yateem shehzade...
sar se khoon jaari tha choor choor tan saara
shaah kehte thay rokar haye mar gaye qasim
ay yateem shehzade...
raat ki dulhan kubra sar jhukaye ghoongat mein
zaar zaar roti hai bad-naseebi par qasim
ay yateem shehzade...
daastan shadi ki sunke rote hai saare
dulha dulha kehti hai saari dunya ay qasim
ay yateem shehzade...
zainabe jigar khasta mehdi kehti thi rokar
daagh saare kunbe ko haye de gaye qasim
ay yateem shehzade...