Kanz e Aza

Baaghe Shabbar ke

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Viqar Nagri. Lyrics in Roman Urdu.

baaghe shabbar ke mehekte huwe armaan qasim

ye teri laash ke tukde biyaban qasim


abhi guzri bhi na thi tera baharein tujh par

haye kya jald hua maut ka samaa qasim

baaghe shabbar ke...


tashna lab dulha dulhan aur baraati pyase

haye kaisa teri shadi ka hai saaman qasim

baaghe shabbar ke...


ran mein chalti hui wo zulm o sitam ki aandhi

maa ke seene se wo uth'ta hua toofan qasim

baaghe shabbar ke...


ho ke ruqsat jo chale ran ko to boli kubra

jaaiye aap ka allah nigehban qasim

baaghe shabbar ke...


dekh kar haal tere jism ki pamaali ka

chaak karti hai ajal apna gareban qasim

baaghe shabbar ke...


ran mein bikhre huwe ye tere badan ke tukde

khoon mein tar ye teri zulfein pareshan qasim

baaghe shabbar ke...


jamma karte hai teri laash ke tukde ran mein

thaam kar apna jigar shaahe shaheedan qasim

baaghe shabbar ke...


dil pe kubra ke jo guzri hai khuda hi jaane

laash jab laaye teri sarwar e zeeshan qasim

baaghe shabbar ke...


ran ki khamosh fazayein hai tera laasha hai

bain kubra ke hai aur shaam ka zindan qasim

baaghe shabbar ke...


nauhakhwan bazme aza mein hai vaqar e ghamgeen

hai tasavvar mein magar shaam ka zindan qasim

baaghe shabbar ke...