Kanz e Aza

Hogaye Haath Qalam

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Viqar Nagri. Lyrics in Roman Urdu.

hogaye haath qalam mashk bachayi na gayi

pyaas saqqa se sakina ki bujhayi na gayi


jaane kya keh gaya bhai se alamdare jari

laash abbas ki sarwar se uthayi na gayi

hogaye haath qalam...


cheen kar nehr ab aaram se sota hai koi

baad marne ke bhi qabze se taraai na gayi

hogaye haath qalam...


haye re bekasi ye sayyede sajjad e hazeen

laash zindan se sakina ki uthayi na gayi

hogaye haath qalam...


laash andhere mein sakina ki thi mohtaj e kafan

shamma tak shaam ke zindan mein jalayi na gayi

hogaye haath qalam...


karbala se hai bahot door sakina ka mazaar

aaj tak baap se beti ki judaai na gayi

hogaye haath qalam...


laashe akbar pe ye laila ne kaha ro ro kar

haye kismat teri shaadi bhi rachayi na gayi

hogaye haath qalam...


khatm hai sayyede sajjad pe ye tarze jafa

phir imamat kabhi kanton pe chalayi na gayi

hogaye haath qalam...


baazu e shaah mein ek teer tha haath uth na sake

laash asghar ki kaleje se lagayi na gayi

hogaye haath qalam...


ruk gaya haath mera haath tak aate hi viqar

mujse abbas ki tasveer banayi na gayi

hogaye haath qalam...