soughra ne likha baba tumhe qaab me dekha
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha
baba mujhe ek qaabe pareshaa'n nazar aaya
baba mujhe ek hashr ka saama'n nazar aaya
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha
dekha hai ke ek dasht me tanha hi khade ho
paani bhi mayassar nahi pyaase hi khade ho
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha
dekha hai ke ek qaime me betaab hai maadar aur pyaas se betaab hai bhayya ali asghar
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha
dekha hai ke rote hue bhayya nazar aaye
kehte hai ke soughra tumhe lene nahi aaye
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha
dekha hai chachajaan ke badle hue tewar
sab jang ke aasaar numayaa'n hai saraasar
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha
kya tum kisi aafat me giraftaar ho baba phir kis lie tum aise dilafgaar ho baba
bechain hai dil mera ye kya qaab me dekha