Kanz e Aza

Sakina aur Zahra

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

sakina aur zahra ki musibat ek jaisi hai

hai tooti phasliyan dono ki halat ek jaisi hai


wahan binte rasollallah ka pehlu sikasta hai

yahan bacchi ke kaano se abhi bi khoon rista hai

lehad mein jaa ke bhi dono ki ghurbat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


wahan kunfuz ke haathon ne koi tehreer likhi hai

yahan tahreer zaalim shimr ke haathon ki milti hai

likhi dono ke chehron par ibaarat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


gayi ek ek dar par fatema shehr e madina mein

sakina dar badar phirti rahi hai shaam o kufa mein

wilayat ke liye inki musaafat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


sar e darbar daadi aur pothi ki hui peshi

wo athara baras ki aur ye hai chaar barson ki

na jaane phir bhi kyon baalon ki rangat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


usay kehte thay yasrab waale roye shehr se bahar

tamache maarte thay shaam waale is ko rone par

dilon mein baap ko rone ki hasrat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


sitamgar ke tamache ki na jaane kaisi zarbat hai

sahare se chale deewar ke dono qayamat hai

nazar kuch bhi nahi aata basaarat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


galay se murtaza ke rassiyan zahra chudati hai

sakina tauq pe sajjad ke pani bahaati hai

imamat ke liye dono ki mehnat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


mita dena nishane qabre mayyat qabr mein rakh kar

wilayat ka koi munkir nahi aaye janaze par

imam e waqt se unki wasiyat ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...


qayamat ban ke aaya tha takallum waqt magrib ka

idhr bali sakina ka udhar zahra ka dam nikla

jahan se inke jaane ki bhi saa'at ek jaisi hai

sakina aur zahra ki...