labon se nikal kar azan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
dua hai yehi ghamzada maa ke lab par
khudaya salamat rahe mera akbar
wo le le ke bas hichkiyan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
kabhi khaak par baith kar reh guzar mein
judaai mein akbar ki veraan ghar mein
behan ghamzada neem jaan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
tadapti hai sughra chale aao bhaiya
kahin mar na jaye judaai mein sughra
wo bemaar aur natawan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
abhi to gaya hi nahi ran mein akbar
abhi dil hai akbar ka seene ke andar
magar phir bhi noke sina ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
wahan par madine mein roti hai sughra
yahan par sakina ke lab par hai nauha
behen ek yahan ek wahan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
dua kar rahi hai ye karbal mein laila
na maut aaye akbar ko mere khudaya
jawani ye sun kar bayan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
ay naazon ke paale zara sa teher jaa
ke zainab sajaale tere sar pe sehra
ke aun o mohamed ki maa ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
nabi dekhte hai falak se ye manzar
safon mein khade sab namazi hai muztar
imamat liye hichkiyan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...
madine mein akbar jahan se chale hai
zameen pe qadam ke nishan wo pade hai
behen dekh kar kuch nishan ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
labon se nikal kar...