poochta hai tum se ye dashte karbala
mohamed ke kalmago tumhe kya mila
nabi zadiyan ho gayi dar badar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar loot kar tumhe kya mila
hataye labe alqama se qayaam e shahe karbala
mohamed ke pyare nawase pe tum ne sitam kyun kiya
usay to mila jaam e kausar magar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
gulistane zehra ke ghunche bhi be-aab murjha gaye
huwe dil bhi veeran maaon ki godhi se gul kya gaye
kisi shaakh se gul koi tod kar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
wo kaisa qayamat ka manzar tha roti thi jab sayyeda
jo kehti thi ay baba jaan mera shabbir maara gaya
sawaal apni ummat se poocho magar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
tamache bhi maare sakina ke kaano se cheene gohar
andhere mein wo dhondti reh gayi apne baba ka sar
wo masoom bacchi hui be padar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
badan un shaheedon ke pamaal ghodon se tum ne kiye
bujhaye hai tum ne sitam se mohamed ke ghar ke diye
andheron mein dooba mohamed ka ghar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
kahan aale ahmed kahan shaam ke sangdil raaste
khuda aur nabi ke haram de rahe thay tumhe waaste
wo shahzadiyan ho gayi dar badar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
musalmano tum thay tamashayi thi sar khule bibiyan
wo chehre jinhe dekh paaya na tha aaj tak aasman
khule sar kiya bibiyon ne safar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
batao musalmano kyun tum ne zainab ko beghar kiya
bohat khoob tum ne mohamed ko ajre risalat diya
juda kar ke shabbir ka tan se sar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
zara ye to socho ke insaniyat ka taqaza hai kya
jo hai ghair muslim wo aale mohamed se hai aashna
koi tumse pooche ye aa ke agar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...
jo maidan e mehshar mein haatif ki aayegi safdar sada
jhuka lo nazar ahle mehshar ke aati hai sayyeda
kahega khuda is ghar ka loot kar tumhe kya mila
musalmano zehra ka ghar...