Kanz e Aza

Marke Bhi Abbas ka

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

mar ke bhi abbas ka saahil pe laasha reh gaya

hashr tak qabze mein pyase ke darya reh gaya


fatha karne waale jung e karbala batlaye to

aaj dunya ki zaban par naam kiska reh gaya

mar ke bhi abbas ka...


itna dunya ne dabaya aur ubharta hi gaya

naksh hoke karbala tera fasana reh gaya

mar ke bhi abbas ka...


nusrate haq ke liye asghar to ran ko jaa chuke

ek tasavvur ek maa ek khaali jhoola reh gaya

mar ke bhi abbas ka...


sunke akbar ki shahadat ki khabar maa ne kaha

baad tere zindagi mein ab meri kya reh gaya

mar ke bhi abbas ka...