AHL-E-AZA ME SIBT-E-PAYAMBAR KA HAI MATAM
ZEHRA KE PISAR WARIS-E-HYDER KA HAI MATAM
Ek kafira ne zehr-e-sitam tha pila diya
Masmoom Ibn-e-Saqie kausar ka hai matam
Tukde dil-o-jigar ke gire farsh-e-khaak par
Qasim yateem hogaye Shabbar ka hai matam
Ahl-e-haram bhi rote hain aur khaak udate hain
Kya bekaso ke monis-o-yawar ka hai matam
Zainab ye roke kehti hai bhai ki laash par
Mazloom-e-Karbala ke baradar ka hai matam
Dushman ke teer laash pe chalte hain haye haye
Rooh-e-Batool roti hai dilbar ka hai matam
Pehlu me jab nawase ko madfan na mil saka
Larzaa’n nabi ki qabr hai Shabbar ka hai matam
Qasim bhi sogwaar hai karta hai aah-o-gham
Sab mominon ke hadi-o-rehbar ka hai matam