AYE HASSAN E MUJTABA..
Fatima ka raj dulara Hassan, Haidare Karrar ka pyara Hassan, Ahmade Zeesha'n ka dulara Hassan, Zehre dagha se tujhe mara Hassan.
Haye hua kya sitam-Aye Hasane Mujtaba
Jaane Rasule umam-Aye Hasane Mujtaba
Kushtaye ranjo alam-Aye Hasane Mujtaba
Dediya hazrat ko sam-Aye Hasane Mujtaba
Zeher ne sadme ye jigar ko diye, Aayi jo qeh tukde lagan me gire, Haye sitam jahda berehem ne, Deke dagha apko mara Hassan.
Roti hai Qasim ki maa-Aye Hasane Mujtaba
Karti hai Zainab fugha'n-Aye Hasane Mujtaba
Chorda hame bhai jaan-Aye Hasane Mujtaba
Chal base suye jinaa'n-Aye Hasane Mujtaba
Aye jigaro jaane Risalath panaah, Sarware dee'n charqhe Shahadat ke maah, Haidar o Zehra ki Shahadat ke maah, Kam nahi marna bhi tumhara Hassan.
Aata nahi dil ko chain-Aye Hasane Mujtaba
Peet te hai sar Hussain-Aye Hasane Mujtaba
Karti hai sab bewa ain-Aye Hasane Mujtaba
Bachhou me hai shor o shain-Aye Hasane Mujtaba
Madare Qasim hai tapaa'n har ghadi, Bazuo me roti hai behne khadi, Beech me maiyyat hai tumhari padi, Hai yeh qayamat ka nazaara Hassan.
Hogaya mehshar ayaa'n-Aye Hasane Mujtaba
Aap ne chorda jahaa'n-Aye Hasane Mujtaba
Gham ka hai har su samaa'n-Aye Hasane Mujtaba
Rote hai peero jawaa'n-Aye Hasane Mujtaba
Peet ke 'Masroor' yeh keh muttasil, Apka marna hai ghame jaa'n gusil, Tukde hai hazrat ke ghulamou ka dil, Humko nahi zabt ka yaara Hassan...