Kanz e Aza

Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


Abbas as Ki Kasam Tumhain Lag Jao Na Galay

1. Baba Bhi Aye Hain Mere Nana Bhi Aye Hain

Chehray Ka Noor Dekhiye Musa Bhi Aye Hain

Yousuf Kharay Huye Hain Ziyarat Ke Waste


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


2. Tujh Ko Duayein Aaj Se Degi Dua-e-Noor

Khushboo Tere Paseenay Ki Phelay Gi Dur Dur

Mil Jaye Ga Lahu Tera Khoon-e-Hussain Se


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


3. Ahl-e-Haram Ko Tum Se Dharas Mere Delar

Pehra Do Phir Khayam Ka Utho Aye Mere Sher

Keun Ja Rahe Ho Tum Mujhay Ghurbat Main Chor Ke


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


4. Karna Dua Hussain (as) Pe Asa Na Waqt Aye

Koi Sada Dy Hum Ko Aur Hum Se Chala Na Jaye

Lasha Tumhara Dhasht Se Hum Khud Uthainge


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


5. Ahista Kehna Saqqi-e-Kausar Se Mera Haal

Rakhti Thi Meri Peas Ka Amma Bohat Khayal

Ghurbat Na Ho Bayan Meri Amma Ke Samne


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


6. Aye Hain Zakhm Tum Ko Meri Jaan Kahan Kahan

In Zalimon Ny Mari Hain Seenay Pe Barchiyan

Shabbir Kis Tarha Se Tumhare Galay Lagay


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


7. Tou Ny Gala Kataya Hai Pehle Hussain (as) Se

Dilwainge Jaza Woh Shahe Mashriqain Se

Chadar Utha Ke Deti Hai Amma Dua Tujhay


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


8. Seenay Laga Ke Kehne Laga Ibn-e-Fatima

Khushboo Se Teri Mehkee Gi Ta Hashr Karbala

Bou Hai Tere Paseenay Main Kis Ny Kaha Tujhay


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere


9. Jaldi Thi Dekho Jaun Ko Sajjad Kis Qadar

Dhaal Aur Zira Ko Phenk Ke Seena Kiya Sipar

Jis Dum Suna Hussain alaihis salaam se


Aye Jaun Bhai Ho Tum Mere