Kanz e Aza

Aye hussaini maa tujhe salaam

A noha (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Aye hussaini maa tujhe salaam

Aye Hussaini maa tujhe salaam


Salaam ma.....x6

Tune bana diya mujhe Shabbir ka ghulaam


Aye Hussaini maa tujhe salaam.....x3


Tarbiyat mili wilayat e Ali pe tune ki Aur majlis e aza me mujhko bhejti rahi

Maa tere karam se naematein azeem mil gayi....x2

Likha gaya sahifa e Zehra me mera naam


Aye Hussaini maa.....x3


Ake is jahan me pehli baar aankh jab khuli

Sabse pehle nauhe aur azan ki sada suni

Teri thapkiyon ne hi banaya mujhko matami...x2

Thi teri loriyan Hussainiat ka ehtemaam


Aye Hussaini maa......x3


Bolne ke waaste jo pehli baar lab hile

Ya Hussain ya Hussain lafz yeh ada kiye

Jane kab yeh lafz tune maa mujhe sikha diye ....x2

Ha Panjetan hain paanch aur bara hain Imam


Aye Hussaini maa....x3


Maa teri aqeedatom pe zindagi fida meri

Hosh jab sambhala maine ghar me dekha bas yahi

Ghar me tu saja rahi thi shehnashi Hussain ki....x2

Bachpan me hi sikha diya itna azeem kaam


Aye Hussaini maa....3


Ek chhota sa alam sajaya mere waaste

Mimbar e Hussain pe bithaya tune naa mujhe

Chand lafz majlis e Hussain ke sikha diye ....x2

Tehzeeb e gham ke waaste banaya yeh nizaam


Aye Hussaini maa....x3


Kaise bhul jau maa main teri woh rizayatein

Bachpane se tune daali saari achhi adatein

Tune hi sikhayi hain mujhe sabhi ibadatein ....x2

Tune sikhaya soz, nauha, marsiya  salaam


Aye Hussaini maa....x3


Tere saye me pala toh yeh sharaf mujhe mila

Khoon banke dodti hain in ragon me Karbala

Kitni baar de chuka hoon main bhi pursa khoon ka.....x2

Jab tha libaas khoon me tar  labon pe tha kalaam


Aye Hussaini maa.....x3


Haa yeh kaam maa ki fitraton ke bhi khilaaf tha

Tune ek roz mere paas aake yeh kaha

Raah me Hussainiat ki apni jaan kar fida .....x2

Allah yeh mohabbat e Hussain ka maqaam


Aye Hussaini maa......x3


Hain unhe dua e Sayyeda bhi aur Rasool bhi

Jinki god me pale yeh nauhakhwan yeh maatami

Un azeem maaon ki salaam Mazhar Aabedi

Farhan teri maa ko bhi khiraaj subh o shaam