Ahle aza me Sibte Payambar ka hai matam, Zehra ke pisar warese Haider ka hai matam.
Ek kafera ne zehre sitam tha pila diya, Masmoom ibne Saqiye Kousar ka hai matam.
Tukde dilo jigar ke gire farshe qaak par, Qasim yateem hogaye Shabbar ka hai matam.
Ahle haram bhi rote hai aur qaak udhate hai, Kya bekasou ke moniso yawar ka hai matam.
Zainab yeh roke kehti hai bhai ki laash par, Mazloome Karbala ke biradar ka hai matam.
Dushman ke teer laash pe chalte hain haye haye, Ruhe Batool roti hai dilbar ka hai matam.
Pehlu me jab nawase ko madfan na milsaka, Larza'n Nabi ki qabr hai Shabbar ka hai matam.
'Qasim' bhi sogwar hai karta hai shor o shain, Sab momino ke haadi o rehbar ka hai matam...