ahlebait e paighambar sar katane aaye hai
haq ke naasir o yawar sar katane aaye hai
ye nabi ka kunba hai haq pa adne waala hai
aandhiyo se toofan se bad ke ladne waala hai
phir bhi kya khabar kaisa waqt padne waala hai
ya khuda mohamed ka ghar ujadne waala hai
ibne hyder e safdar sar katane aaye hai
ahlebait e paighambar...
khair ho mere maula saamne hai ek lashkar
zulm ka koi naiza pad na jaye seene par
khaak par na gir jaaye naujawan theora kar
khoon mein na mil jaye ye shabihe paighambar
haye naujawan akbar sar katane aaye hai
ahlebait e paighambar...
karbala ke sehra mein hai rasool ka gulshan
ban na jaye phoolon ke haq mein kal yehi madfan
sab rasool zaade hai sab ali ke jaan o tan
ek raat ka dulha ek raat ki dulhan
haye waarise shabbar sar katane aaye hai
ahlebait e paighambar...
haq ke ye nigehban hai dushmanane baatil hai
inke dil ka kya kehna sar se paaon tak dil hai
chand ho ke laakhon ke aaj ye mukhabil hai
phool jaise bache bhi kaarwan mein shaamil hai
haye bezaban asghar sar katane aaye hai
ahlebait e paighambar...
kufiyon ke ye mehman qatl hone waale hai
ye rasool ke armaan qatl hone waale hai
bolte huwe quran qatl hone waale hai
sab mahafiz e emaan qatl hone waale hai
fatema ke sab dilbar sar katane aaye hai
ahlebait e paighambar..
pyase bache tadpenge chain jab na payenge
mashk ba-wafa lekar alqama pe jayenge
gir padenge ghode se itne zakhm khayenge
shaane kat rahe honge khoon mein nahayenge
aaj saani e hyder sar katane aaye hai
ahlebait e paighambar...