nange sar jab kabhi namoose giraftar chale
parda daari ke liye saaya e deewar chale
usne ek sajda e aakhir se sabakh seekha hai
aalame shauq may jab koi suye daar chale
nange sar jab kabhi…
ek ishara hai ye hamsheer o biradar ki taraf
nafs ke saath agar saans ki raftaar chale
nange sar jab kabhi…
mujhko har lamha maseeha ka gumaan hota hai
rayg zaaron may agar koi bhi bemaar chale
nange sar jab kabhi…
uske hamraah zara aap bhi aahista chale
pa ba zanjeer agar koi giraftaar chale
nange sar jab kabhi…
bibiyan ho to ridayein bhi mohayya kijay
khafila jab bhi koi shehr ke bazaar chale
nange sar jab kabhi…
zulm ki had hai ke jab aalam e tanhai may
khastaja par sar e maqtal kabhi talwar chale
nange sar jab kabhi…
ek aalam mere ehsaas may rota hai shakeeb
sabz parcham ke talay jab bhi alamdar chale
nange sar jab kabhi…