man buka lal hussain
dekho maqtal may ali khaak udate hai nabi
halq e sheh par hai churi
man buka lal hussain…
aaye majlis may ali binte zehra o nabi
hai qayamat ki ghadi
man buka lal hussain…
haye barchi ki ani qalbe akbar may lagi
qalbe laila may lagi
man buka lal hussain…
haye abbas e jari mashk pyason ki chidi
tashnagi haath mali
man buka lal hussain…
aisa dekha na jari teer ki zad par hasi
ro pada dekho shaqi
man buka lal hussain…
shaah e deen jaane ali teri wo tashnalabi
bekasi roti rahi
man buka lal hussain…
gham ki dunya may pali dekhiye aal e nabi
qaid hokar hai chali
man buka lal hussain…