Kanz e Aza

Mal Li Hai Karbala

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

mal li hai karbala ki jabeen par utha ke khaak

poochega mujhse qabr mein ab koi aake khaak


so jaaunga sukoon se phoolon ke sej par

farshe lehed pe karbobala ki bicha ke khaak

mal li hai karbala ki...


wabasta jo batool ke dar se nahi usay

haath aayega rasool ke rauze pe jaa ke khaak

mal li hai karbala ki...


deta wo kya rasool ki beti ka haq bhala

mayyat ko de saka jo na uski utha ke khaak

mal li hai karbala ki...


allah wo rasool ko kya moo dikhayega

jisne kiya batool ke dar ko jala ke khaak

mal li hai karbala ki...


poochega aake aakhri beta batool ka

bechi hai kisne turbate sheh ki saja ke khaak

mal li hai karbala ki...


chaa kar raha hussain dil e kayenat par

harbein tamaam hogaye ahle jafa ke khaak

mal li hai karbala ki...


jab baade qatle shaah saron se chini rida

dhaampa saron ko ahle haram ne uda ke khaak

mal li hai karbala ki...


teer e sitam chala ke abhi dil bhara nahi

kya dhoondta hai bine kaahil hata ke khaak

mal li hai karbala ki...


behno se bhai maaon se bacche bichad gaye

ghar ho gaya batool ka is ran mein aake khaak

mal li hai karbala ki...