Kanz e Aza

Hussaino Minni

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

sada e rabb e jahan

jabeen kushada hussain

batool zaada hussain

mera iraada hussain

nibhane waada hussain

malaeka ki safon se nuzool tak pahuncha

phir ambiya ki safon se rasool tak pahuncha

mere hussain ka dunya mein jab zahoor hua

rasoole haq ne padha hukme rabb se ye kalma

hussain o minni wa ana minal hussain


bata gaya hai nabi khuda ka

hussain mujhse hai mai hussain se hoon


misaal e faatah e badr o hunain mera hussain

meri batool ki aankhon ka chain mera hussain

khuda ke deen ki hai zaib o zain mera hussain

hai mere baad shahe mashraqain mera hussain

zamane bhar ki pukaar hai ye

mere lahoo ka weqaar hai ye

ye mera jism meri jaan mere deen ki baqa

hussain o minni...


kul ambiya ki amanat isi ke haath mein hai

usoole deen shariyat isi ke haath mein hai

meri baqa meri izzat isi ke haath mein hai

kalaam e paak ki hurmat isi ke haath mein hai

lahoo se aisa payaam dega

shariaton ko amaan dega

meri hadees ki tafseer hogi karbobala

hussain o minni...


khuda ke hukm ki tameer hogi maqtal mein

ali ke ishq ki takmeel hogi maqtal mein

bisaat deen ki tabdeel hogi maqtal mein

hayaat maut ki qandeel hogi maqtal mein

hussain mujhko nijaat dega

ye deen e haq ko hayaat dega

ye raaz jaan ke mere nabi ko kehna pada

hussain o minni...


ye meri godh mein hai aur tasavvurat mein kya

mere hussain ka maqtal bani hai karbobala

ghamon se choor thakan se nidhaal sar pe qaza

mita ke bayyate faasiq bacha ke deene khuda

lahoo se darya ko laal kar ke

yazeediyat ka qetaal kar ke

jo qatl gaah ki jaanib badha to rabb ne kaha


shukriya shukriya shukriya

hussain tera shukriya

shukriya shukriya shukriya

hussain tera shukriya


keh raha hai khuda hussain tera shukriya

ke tu ne deen bacha liya hussain tera shukriya

jo ambiya se nahi ho saka wo tu ne kiya

shukriya shukriya shukriya

hussain tera shukriya


teri himmat pe ye kaunain fida tashna dahan

tu ne jo waada kiya poora hua tashna dahan

khoon se maqtal ko jo sairaab kiya tashna dahan

ibne zahra o ali ay wali ibne wali

tujhse mai raazi hua ay shahe karbobala

aisa maqtal saja diya tu ne

mar ke jeena sikha diya tu ne

hashr tak karte rahenge ye shaheedane wafa

as-salaam o alal hussain wa ala ali ibnal hussain

wa ala aulaadil hussain wa ala as'haabil hussain


majlis o matam ki baqa hussain

hai ye tere ahle azaa hussain

matami seeno se suno hussain

aati hai labbaik sada

labbaik ya hussain


ye matami lashkar hai himmat ka samandar hai

aayi jo alamdari har fard dilawar hai

dekho to wafadari dekho to ye khuddari

marne ki ye tayyari aur lab pe sada jaari

kya nazha ki takleefon mein maza

jab maut aaye jawani mein

kya lutf janaza uthne ka

har gaam pe jab matam na ho

hussain ya hussain...


marne chala jo ghar se koi matami jawan

ye kehke azm uska badhati hai uski maa

roke hai meri aankh se aansu abhi rawan

lekin jo maut saamne aaye to meri jaan

himmat na haar jaana qasam hai batool ki

kar lena yaad jang shabihe rasool ki

hussain ya hussain..


wo teen din ki pyaas wo akbar wo fauj e shaam

wo dhoop razm gaah ki wo nusrat e imam

tayghon ki chaon teeron ka meyaar o ajdahaam

naiza kisi ka aur jigar e akbar e anaam

bijli si har taraf khaso khashaak par giri

tasveer mustafa ki juhin khaak par giri

hussain ya hussain..