abbas ka jab zikr e wafa karti thi sughra
bas khair ki us waqt dua karti thi sughra
ek bar bhare ghar ko mai in aankhon se dekhoo
ro ro ke madina mein dua karti thi sughra
abbas ka jab zikre...
pardes mein baba ne mujhe dil se bhulaya
shikwa yehi nani se kiya karti thi sughra
abbas ka jab zikre...
ab ghutniyo chalne laga hoga mera asghar
ye keh ke bohat yaad kiya karti thi sughra
abbas ka jab zikre...
aata tha madina mein agar koi musafir
bechain bohat sunke hua karti thi sughra
abbas ka jab zikre...
ek aas lagaye hue wo baithi thi dar par
aayenge chacha lene kaha karti thi sughra
abbas ka jab zikre...