SHABBIR YE KEHTE HAIN NA GHABRAIYO ZAINAB
Lo Sham-e-gharebaa’n ke Alamdar tumhi ho
Is qafile ki qafila saalar tumhi ho
Bacho ki khabar lijiyo behlaiyo Zainab
Qaimo’n mein lage aag to abid ko jagana
Chhin jaye rida sar se to aansoo na bahana
Qaidi bhi banaye to chali jaaiyo Zainab
Khojaye Sakina to use dhoond ke lana
Ho baap ke seene pa to aahista uthana
Hum to na rahenge tumhi behlaiyo Zainab
Jab shaam ke bazaar se sar nange guzarna
Ghabrake sitam se kabhi faryad na karna
Bas bhai ka sar dekhke rehjaiyo Zainab
Roegi meri yaad mein din raat Sakina
Marjayegi Zindaan mein ghut ghutke Sakina
Zindaan mein masoom ko dafnaiyo Zainab
Qaid-e-Sitam shaam se jab chhoot ke jana
Roodad-e-Alam Nana ke rauze pa sunana
Durro ke nashaa’n Amma ko dikhlaiyo Zainab