sajjad leke jaate hai lasha yateem ka
zindaa'n se jaa raha hai janaza yateem ka
hai zaqm taaziyano ke nanhi si pusht par
chimta hua hai qoon me kurta yateem ka
baba ki rone waali chali qaid qaane se
mouqoof aaj hogaya rona yateem ka
aaghosh maa ki hai na to seena hai baap ka
hai ab andheri god me sona yateem ka
ghassaala puchti hai kiya is pe kis ne zulm
neele hai gaal zard hai chehra yateem ka
aayi nida hamaari amaanato ko jald laao
pohncha sare mazaar jo lasha yateem ka
*baaqar* wahi sakina ka kurta kafan hua
yaa rab uthe na yu koi murda yateem ka