Kanz e Aza

Sajjad Pe Wo Kaisi

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Najm. Lyrics in Roman Urdu.

natawan aur qaid may

haye beemar haye haye sajjad


sajjad pe wo kaisi qayamat ki ghadi thi

jab saani e zehra sare darbar khadi thi

sajjad pe wo kaisi…


haaton pe tha masoom sakina ka janaza

ankhon may lagi khoon ke ashkon ki ghadi thi

sajjad pe wo kaisi…

jab saani e zehra...


sar ko wo jhukaye hue har mod se guzre

tapta huwa sehra tha aur dhoop kadi thi

sajjad pe wo kaisi…

jab saani e zehra...


kaanton ko rulaati thi teri aabla paayi

zanjeer bhi roti thi jo paon may padi thi

sajjad pe wo kaisi…

jab saani e zehra...


zindan ke andhere may tanha thi sakina

ankhon may uske kaisi ashkon ki jhadi thi

sajjad pe wo kaisi…

jab saani e zehra...


shah najm ne band kardiye is pe sukhan tamaam

izzat bhi badi thi to musibat bhi badi thi

sajjad pe wo kaisi…

jab saani e zehra...